Thursday, December 15, 2011

Mai Koi Shayar Nahi !

Deewane is dil ko tera intazaar rehta hai,
Zarra-Zarra dil ka bekaraar rehta hai.

Aakar chali jaati hai tu mere afsaano me..
Laut kar aaja ... Dekh !! Ye Zamana mujko Shayar kehta hai.

Sab Nautanki Hai !!

Ye Duniya ek nautanki hai .. ise har roz ek tamasha chaiye.
Jis Mehfil ki talash hai sab ko ... us Mehfil ko khud .. ek Bhara paimana chaiye.

Na karna un logo se mahobbat dosto ..
Jin logo ko .. dil-lagi k liye .. hamesha ek naya afsana chaiye.

Ji Karta Hai !!

Aanchal bankar tujse lipat jaane ko ji karta hai,
Hawa ka jhoka bankar tuje ched jane ko ji karta hai.

Teri Dosti se muje inkaar to nahi...
Par ab ...  Teri Mahobbat ko aazmane ko ji karta hai.

Saturday, December 10, 2011

Kal ek Naya Savera hoga !!

Teri haqeekat ko ek khwaab banana chahta hu,
Subah uthkar sab Bhul jana chahta hu !!

Aaj soya hu ... badi Muddat ke baad,
Har Sirwat me .. tera ek Nishaan mitana chahta hu !!

Thursday, December 8, 2011

Humnawaah !!!

Gam-E-Dilse Ya Ilahi raza dede,
Saza hi sahi.. Ishk ke ilzam me saza dede !!

Tuut kar bikhra hu Dar-Ba-Dar ..
Samet ke rakhe koi.. aisa Humnawaah dede !! 


Jaane Kya Samajhti Hai !!

Mai wo nahi jo wo mujko samajhti hai ..
Khud hi dard deti hai .. aur bedard samajhti hai.

Sunati hai wo sabko dastaan meri .. par mera Kirdaar na samajhti hai,
Kiya katl usne meri mahobbat ka .. aur Gunahgaar mujko samajhti hai. 

Mai wo nahi jo wo mujko samajhti hai ..
Ek mamuli insaan hu... Jaane kya kya samajhti hai !!



Wednesday, December 7, 2011

Wo Ek Nazar Uski !!

Ho nafrat.. ya ho nazakat uski,
Fir chahe ho jhuti har harkat uski,

Mila sukun itna.. ke jitni thi kismat meri..
Wo pehli baar mujpar, jo uthi hai aaj.. wo ek nazar uski !!!

Zara Raakh Ban Ne Do !!

Khuda ke dar par hu.. uthao na muje,
zubaan baaki hai, ek fariyaad aur karne do.

Apni zubaan se uska naam muje lene do,
Bhale wo aye na kabhi.. par muje intazaar karne do.

jalne do !! yuhin thoda aur muje jal ne do,
aag kuch baaki hai abhi.. zara jalkar raakh to ban ne do.