Friday, March 22, 2013

Behtareen hai WO Ishq

Behtareen hai wo Ishq.. Jaha mai bebas nazar aya..
Rangrezo k muhalle me bhi.. berang nazar aya,
raat beeti.. baat beti .... barso beete .. magar
Tere dar se ruswa hokar..aaj fir..utna hi maza aya!!

Wo Akhri mulakat !! Yaad Hai ?

Thi Akhri mulakat wo apni,

Wo jado ka mausam yaad hai ?
Wo girti pattiya.. wo pedo ka sar sarhana yaad hai,
Un khushk hawao ka teri zulfe udana yaad hai.
Wo tere lavfo ka halka sa ladkhadana..
Fir haste haste tera ro jana yaad hai !!

Badi khamosh belavz si wo mulakat lagti hai..
Fir bayan karu to waqt ki killat kyu lagti hai ..

Wo kehte hai.. khamoshi khud ek zuban hoti hai ..
Wo jo tu roya tha us din ... sirf mere aasu dekhkar..
To yakeen hua .. ki khamoshi beshak ek zubaan hoti hai.

Muflisi

Tere husn ko saza kya du.. Mera Ishq khud hai muflisi,
Zakhm hai nasoor.. dikhti teri shakl hai muflisi,
Mere akks ki pehchan thi tujko kabhi..
Gar na ho sake... jo aaj mere chehre ki b shinaakht tujse !!!
To tere kaha Ishq BHI HAI muflisi !!!