Tuesday, August 14, 2012

Ishk hai gunaah aisa

Khud-Hi me jeene waale kya jaane.. 
... bekhudi kya hoti hai !!

Hai Ishk ek gunaah aisa ...
k naa raza milti hai .. naa saza hoti hai !!!

Zara Pehchan Lijiye.

Husn Katil hai .. zara pehchaan lijiye..
Ishq bas zariya hai .. ye baat maan lijiye!!
Mai kehta hu jo... thoda gour kijiye..
JAAN JAATI HAI !! fir wo li jaye.. ya aap khud dijiye !!!

Hum SUFI nahi !

Ranjishe Kyu Itni !! Hum koi BAAGI to nhi..
GOUR to kar !!.. na kar maafi tu sahi..
K Rahe ye Daaman Yuhi Sufaed hamesha.. hum itni SUFI b nhi !!
DUA kar !! na kar Yakeen tu sahi..

Sunday, May 13, 2012

Koi Aawaz nhi ayegi

Na Pucho Mujse .. Tum Koi Kahani Meri,
Be-zuban Mobt Hai ..  Khud apni doorio ki dastaan kya batayegi !!
Lavz Unke Zikra Ke  .. Chod diye hum bahot peeche ..
Unki Awaaz ab yaha tak kya ayegi!!

Thursday, March 15, 2012

Bas tujse hai Zindagi meri !!

Tu Gumaan !! Tu hai haqeeqat meri..
Tu hai Nasha ... tu hi Aafiyat meri..

Har lavz karta hai bas bayaan tujko ..
Verna kya meri Gazal .. aur kahe ki Dastaan Meri !!

Monday, February 20, 2012

Ae Dil !!

Ae Dil!! Tu meri mohobbat ki Numaish kyu karta hai ?
Sare aam .. Unhe yaad kar.. mere sabra ki Aazmaish kyu karta hai ?

Maana ki badi maasum si hai khwahish teri !!
Par Nadan .. wo ghair ho chale ab..
Fir .. tu unse Apno si Khwahish kyu karta hai ?

Monday, February 6, 2012

Shayad Roye Hai.

Ek purani kitab se nikle sukhe patte ko dekh roye hai !!
Dhundlai uspar teri likhawat ko dekh roye hai !!

Ungliyo se ret par kabhi likha tha naam tera..
Aaj usi ko mita mita kar roye hai !!!

Saturday, January 21, 2012

Wo Do Bund Aasu The !!

Behkar bhi jo rahe meri palko par,
Kuch kehkar bhi jo khamosh rahe mere gaalo par,
Na choda jisne kabhi Daaman mera..
Wo sirf paani nhi... Wo Do Bund Aasu The !!

Ro kar bhi jo na nikle teri nazro se,
Khamosh ho kar bhi jo haste rahe teri Palko me,
Kar ke Fanaa meri Mohobbat ko..
Jo na nikle kabhi ..  Wo Bhi Do Bund Aasu The !!


Jau Kaha !!

Jau Kaha !! ... Jau Kaha !!
Jau Jaha .. aye Teri yaad waha,
Tera wo Muskurana... fir daud kar khidkiyo me ana,
Kaise kahu kitna mushkil hai.. bhulna wo yarana.

Wo barish ki bunde.. wo mitti ki khushbu,
Wo mehekti shamo me.. milne ki aarzu,

Wo sehmi si nazre.. wo ladkhadati Zubaan,
Un Adhure lavzo me jaise simta sara Jahaan,

Wo Thehra hua sa Waqt.. Wo Khamosh Lamha,
Jab chup rahe saare lavz.. magar ashko ne Sab Kaha.

Intazar me khoya hua wo Pal,
Wo tere sath guzra hua Kal,
Kabhi Hawao me lehrata tera Aanchal,
To kabhi.. Tera Chehra chupata wahi Aanchal,

... bahot yaad ata hai wo Kal,
Kaise kahu kitna yaad ata hai wo Pal.

Ae Aasmaan !!
Zara neeche to Aaa ..
Jo kehna hai mujko Unse..
Zara wo kehkar to Aa.

Unki Galiyo se guzarne wali Ae Hawa,
Zara puchkar Unse muje ye to bata...
Bhul kar apna wo yaado ka Jahaan..
Duur yu Unse ... Ek Musafir ki tarah...
Bhul kar Unko.. Aur Unki har wo Ada..
Jau Kaha !! ... Jau Kaha !!


Bhul kar ye Sab... Bas ..  Ek kahani ki tarha..
Jau Kaha !!! Aakhir mai Jau Kaha ????



Monday, January 16, 2012

Unhe bhi Yaad Rahi hogi !

Badi Mukhtasir si wo Mulakat rahi hogi,
Chand lafzo ki hi Baat rahi hogi,

Hichkiyo se shuru hui aaj subha hai yaaro,
Kuch to Kahi meri.. Unhe bhi Yaad Rahi hogi.


Kash ke Khuda cheen le ab !!

Yu Khwabo me nazar aana Tera,
Fir Chhute hi .. kahi Kho jana Tera.

Kash ke Khuda cheen le ab .. Nhi Sehna ..
Wo Hichkiyo ke dam par Yaad aana Tera.

Wednesday, January 4, 2012

Hum Wo Bhul Na Sake

Koshisho ke mazhar bane !! par hum unhe bhul na sake,
Dafan ki humne mohobbat ki saari kitabe.. par tab bhi wo kisse chup na sake,

Waqt ke sath jod liye hum .. apne khwabo ke Bikhre sheeshe..
Par Arso baad bhi.. unpar se ye Tutne ke nishan Mit na sake.

Na Aya !!

Gustakh sanam ko ishk nibhana Na Aya,
Awara Un nazro par.. Haya ka parda girana Na Aya,

Sisak ke dil roya jo Unki berukhi par ...
Bewafa hai wo !! Ye khud ko samjhana Na Aya.

Tuje meri yaad aa rahi hai !!

Falak ke sitaron ko neend aa rahi hai,
Chamak ke chandni dur ja rahi hai,
Chand ko bhi jaise sharm aa rahi hai,
Lagta hai jaise !! Mere mehboob ...  tuje meri yaad aa rahi hai !!